Friday, August 12, 2011

Sher-O-Shayari

Jab jab dard ka badal chaya
Jab gham ka saya lehraya
Jab aansu palkon takh aaya
Jab ye tanha dil ghabraya
Hum ne dil ko yeh samhjaya
Dil aakahir tu kyun rota hai
Dunya mein yun hi hota hai
Yeh jo gehre sanate hain
Waqt ne sab ko hi bate hain
Thora gham hai sab ka paisa
Thori doop hai sab ka hissa
Aankh teri bekaar hi namh hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai